Yeh video insan ki 16 rohani makhluqat jin ko mout nahin k bare mein hai.murshid e pak Syedna Gohar Shahi madazila ul aali ki talbeen e haq se rohani gugtagu jis mein apne insan ki 16 rohani makhluqat ka zikr furmaya aur un rohani makhluqat ki detail se talbeen e haq ko aagah furmaya.apne irshad furmaya k allah tala ne tumhary andar 7 insan yani makhluqain rukhi hain,7 bunday aur 9 un k ghulam yani totle 16 rohani makhluqat ko tumhary is jism mein bund kar deya.un 7 bundon ko lataif boltay hain aur un k jo 9 ghulam hain un ko jussy boltay hain.insan ki 16 rohani makhluqat jo har insan mein hoti hain lekin ilm na hone ki waja se loug un se la ilm hi rehtay hain.yeh woh rohani makhluqat hain jin ko mout hi nahin hai yeh hameshan zinda rehni wali makhluqat hain.